Saare Jahan Se Accha Hindustan Hamara
Saare Jahan Se Accha Hindustan Hamara
Kalaam of Allama Iqbal
Saare Jahan Se Accha Hindustan Hamara
Ham Bulbule Hain Iske Ye Gulsitaan Hamara.
Ghurbat Me Ho Agar Ham Rehta Hai Dil Watan Me
Samjho Wahin Hame Bhi Dil Ho Jahan Hamara.
Parbath Wo Sab Se Uncha Ham Saaya Aasman Ka
Wo Santari Hamara Wo Pasbaan Hamara.
Godi Me Khelti Hain Iski Hazaaron Nadiyaan
Gulshan Hai Jinke Dam Se Rashke Jinaan Hamara.
Aye Aabroode Ganga Wo Din Hai Yaad Tujhko
Utraa Tere Kinaare Jab Karwaan Hamara.
Mazhab Nahi Sikhaata Aapas Me Bair Rakhna
Hindi Hain Ham Watan Hai Hindustan Hamara.
Yunaan -O- Misr -O- Rumaa Sab Mitgaye Jahan Se
Ab Tak Magar Hai Baaqi Naam -O- Nishaan Hamara.
Kuch Baat Hai Ke Hasti Mit'ti Nahi Hamari
Sadiyan Raha Hai Dushman Daure Zamaan Hamara.
Iqbal Koi Mehram Apna Nahi Jahan Me
Maalum Kya Kisi Ko Darde Nihaan Hamara.