Begana -E- Irfaan Ko Haqiqath Ki Khabar Kya

Begana -E- Irfaan Ko Haqiqath Ki Khabar Kya

Kalaam of Hazrath Shaikhain Ahmed Shuttari (Kamil) R.a

Begana -E- Irfaan Ko Haqiqath Ki Khabar Kya
Jo Aapse Waqif Na Ho Wo Ahle Nazar Kya.

Manzoore Nazar Kaun Hua Iski Khabar Kya
Wo Fazl Pe Aajaye To Phir Ayb -O- Hunar Kya.

Kis Aankh Se Dekha Hai Khuda Jaane Kisi Ko
Na Waqife Aadabe Nazar Teri Nazar Hai Kya

Surath Koi Aisi Ho Ke Yaad Aaye Khuda Ki
Allah Na Yaad Aaye To Wo Husne Bashar Kya.

Waaiz Mere Dushman Ko Ho Andesha -E- Farda
Wo Saath Hain Jab Mere Mujhe Khauf -O Khatar Kya.

Ek Tohmat -E- Hasti Se Pareshan Hoon Ab Tak
Be Par Ki Udi Aur Use Laggaye Par Kya.

Haq Aagahi -O- Haq Nigari Uska Natija
Ek Sharte Muqaddam Ke Siwa Fikr -O- Nazar Kya.

Be Fikr Basar Hoti Hai Iqbaal Salamath
Sarkar Ka Banda Hoon Kisi Baat Ka Dar Kya.

Kamil Ko Dare Yaar Ke Sajdon Se Na Roko
Qurban Jahan Dil Ho Wahan Qeemat -E- Sar Kya.

More from Nisbati Kalaam

More kalaam of Hazrath Shaikhain Ahmed Shuttari (Kamil) R.a

  • Aaj Karna Hai Charaghan
  • Aaj Rang Hai
  • Aankh Aisi Lada Gaya Koi
  • Aao Tasbeeh Subho Shaam Karein
  • Aayate Qurane Naatiq Aynuma Aankhon Me Hai
  • Aaya Banna Aaya Hariyala Banna Aaya