Saaya -E- Ahmade Muqthar Mubarak Bashad

Saaya -E- Ahmade Muqthar Mubarak Bashad

Kalaam of Bedam Warsi

Saaya -E- Ahmade Muqthar Mubarak Bashad
Nisbate Haidare Karrar Mubarak Bashad.

Mushkilon Ka Nahi Kuch Khauf Ke Har Mushkil
Me
Ghouse -E- Aazam Hai Madadgaar Mubarak Bashad.

Karam Hai Hazrate Khwaja Hai Yahan Jalwa Figan
Barishe Rehmato Anwaar Mubarak Bashad.

Tawaafe Khanaye Kaaba Ho Mubarak Tumko
Aur Sarkar Ka Deedar Mubarak Bashad.

Tu Salamath Rahe Kooncha Tera Aabad Rahe
Humko Khaake Dare Janana Mubarak Bashad.

Aaj Hai Eid Teri Deedaye Deedare Talab
Ya Rahe Zeenate Kashana Mubarak Bashad.

Aaina Khaana Bana Aalame Soorat Bedam
Lutfe Nazzaarae Janana Mubarak Bashad.

Girah...
Husne Amal Pe Naaz Mere Dushmanon Ko Ho
Mai Saath Leke Jaaunga Nisbath Rasool Ki.

Kamil Ye Baat Yaad Rakho Balke Likh Rakho
Khaali Kabhi Na Jayegi Nisbath Kisi Ke Saath.