Jalwaye Zaate Qidam Hamko Dikhane Aaye
Jalwaye Zaate Qidam Hamko Dikhane Aaye
Kalaam of Hazrath Khwaja Shouq Sahab
Jalwaye Zaate Qidam Hamko Dikhane Aaye
Aur Phir Chadare "Qul Innama" Taane Aaye.
Maujza Hai Mere Sarkar Ka Ummi Hona
Aap Padne Nahi Aaye Hain Padhane Aaye.
Rehne Do Saaya -E- Nalain Saron Par Aaqa
Aur Kya Waqt Ghulamon Pe Na Jaane Aaye.
Tum Pe Marne Me Bhi Jeene Ka Maza Aata Hai
Ham To Jeene Ko Bhi Marne Ke Bahane Aaye.
Paaye Aqdas Se Zara Mil To Loon Aankhein Apni
Aye Ajal Thair Jaa Sarkar Sarhane Aaye.
Noore "Lau Laaka Lama Kab Se Hai Malum Nahi
Unke Baad Aaye Hain Jitne Bhi Zamane Aaye.
Khush Naseeb Uss Se Bada Koi Nahi Duniya Me
Jo Dare Paak Pe Aaye To Na Jaane Aaye.
Har Kisi Ke Liye Qausain Ki Manzil Kab Hai
Rehgaye Raah Me Wo Bhi Jo Bulaane Aaye.
Faize Aaqa Se Zamana Koi Khaali Na Raha
Kaise Kaise Na Khudayi Me Zamane Aaye.
Noore Haq Shouq Nahi Lafz -O- Bayaan Ki Had Me
Aap Lafzon Me Kahan Naat Sunane Aaye.