Mere Qalam Ki Tariqath Sawaal Hojana
Mere Qalam Ki Tariqath Sawaal Hojana
Kalaam of Hazrath Jameel Uddin Sharfi R.a
Mere Qalam Ki Tariqath Sawaal Hojana
Durood Banke Ye Naatein Misaal Hojana.
Tumhare Ishq Ka Aisa Kamaal Hojana
Ajeeb Meri Tabiyath Ka Haal Hojana.
Tumhari Zulf Ka Saaya Nidhaal Hojana
Seher Bhi Qaide Azaane Bilaal Hojana.
Tumhare Husn Ko Alfaaz Me Samoloon Mai
Mere Qalam Ko Ataa Ye Majaal Hojana.
Tumhare Saamne Ausaan Par Ho Yoon Qaabiz
Fasaade Jazbe Taraddud Ka Kaal Hojana.
Bade Badon Ko Isi Raah Par Chalaata Hai
Tumhare Naqshe Qadam Ka Ye Daal Hojana.
Bisaate Kaaba Ko Baqshe Ye Azmate Qibla
Tumhare Daahini Janib Shumaal Hojana.
Ziya -E- Gumbade Khazra Utar Ke Seenon Me
Hamare Dil Ka Chaman Laal Laal Hojana.
Hamare Paas Tasawwur Yehi Hai Mehshar Ka
Tumhara Saamna Ham Par Bahaal Hojana.
Tumhare Husn Ke Sajde Adaa Hon Yoon Mujhse
Tumhare Naqshe Qadam Ki Misaal Hojana.
Isi Se Jaaye Taqarrub Ko Raah Milti Hai
Jameel Bandaye Ahle Kamaal Hojana.