Ya Allah Ya Rahman
Ya Allah Ya Rahman
Aye Khuda Raheem Hai Rahman
Mai Teri Kibriyaai Ke Qurban
Zindagi Teri Kayenaat Teri
Wahdahu Laa Shareek Zaat Teri
Ya Allah Ya Rahman
Ya Allah Ya Rahman. (x2)
Maangna Bhi Nahi Mujhko Aata
Laaj Rakhna Sawaali Ki Daata.
Girah...
Teri Dehleez Par Hai Sar Mera
Teri Hamdo Sana Hunar Mera
Harfe Laa Taqnatu Ki Aas Liye
Labe Dariya Khada Hoon Pyaas Liye
Gaaye Har Saans Tere Gun Maula
Mujh Gunahgaar Ki Bhi Sun Maula.
Laaj Rakhna...
Amal Ki Mere Asaas Kya Hai
Bajuz Nadamat Ke Paas Kya Hai.
Chorus...
Sher...
Mai Ke Apni Gulistaan Ka Maali
Kaisi Kaisi Baharon Ka Waali
Aakhri Waqt Me Haath Khaali
Chal Diya Khaak Apni Udaata
Laaj Rakhna Sawaali Ki Daata.
Kooe Isiyaan Me Barson Phira Hoon
Dar Pe Aakar Tere Rukgaya Hoon
Tujhko Chaahun Muhammad Ko Chaahun
Aur Koi Nahi Mujhko Bhaata
Laaj Rakhna Sawaali Ki Daata.
Rang Mera Sadaf Ho Ilaahi
Pyaas Dariya Bakaf Ho Ilaahi
Mere Chaaron Taraf Ho Ilaahi
Tere Lutf -O- Karam Ka Ahaata
Laaj Rakhna Sawaali Ki Daata.
Tu Faqat Meri Sonchon Ka Mehwar
Khanaye Jaan Hai Tujhse Ujaagar
Rehm Karta Agar Tu Na Mujhpar
Mai Bikhar Jaata Mai Toot Jaata
Laaj Rakhna Sawaali Ki Daata.
Girah...
Aye Jahanon Ko Paalne Waale
Mushkilon Se Nikaalne Waale.
Pal Ko Sadiyon Me Dhaalne Waale
Seedhe Raste Pe Daalne Waale.
Sher...
Rooh Jhoome Ishaaron Pe Tere
Aankh Lehraaye Jalwon Pe Tere
Mera Har Kaam Raston Pe Tere
Meri Har Saans Ka Tujhse Naata.
Girah...
Dame Ruqsath Ho Meri Qalbo Nigah
Sheeshaye Laa Ilaaha Illallah
Jab Nazar Doosre Jahan Pe Ho
Mustafa Mustafa Zabaan Pe Ho
Umr To Umr Pal Me Kuch Bhi Nahi
Meri Zebe Amal Me Kuch Bhi Nahi.
Rehmate Namaye Amal Bharna
Mujhko Ruswa Na Hashr Me Karna
Sher...
Waqt Ko Bhi Hai Ek Din Theherna
Maut Ko Bhi Hai Ek Roz Marna
Surkhuru Mujhko Uss Waqt Karna
Jab Khule Hashr Me Mera Khaata
Laaj Rakhna Sawaali Ki Daata.
Girah...
Shukr Tera Adaa Na Ho Mujhse
Warna Hone Ko Kya Na Ho Mujhse
Tera Ek Bandaye Haqeer Hoon Mai
Tere Mehboob Ka Faqeer Hoon Mai.