Meri Khush Baqti Ke Aasar Nazar Aate Hain
Meri Khush Baqti Ke Aasar Nazar Aate Hain
Kalaam of Muhammad Ali Zahoori Sahab
Meri Khush Baqti Ke Aasar Nazar Aate Hain
Saamne Aankhon Ke Sarkar Nazar Aate Hain.
Jaame Siddiq Hai Labrez Mae Kausar Hai
Aalame Wajd Me Maikhwar Nazar Aate Hain.
Kiski Madhosh Nigaahon Ka Hai Aizaaz Yahan
Raqs Karte Daro Deewar Nazar Aate Hain.
Jispe Padhjaye Kisi Marde Qalandar Ki Nazar
Usko Sab Falsafe Bekaar Nazar Aate Hain.
Haq Paraston Ke Lahu Se Ye Sada Aati Hai
Ahle Imaan Sare Daar Nazae Aate Hain.
Jab Se Aaya Hai Zahoori Tere Maikhane Me
Dasht Bhi Ab Mujhe Guzaar Nazar Aate Hain.