Wohi Aable Hain Wohi Jalan
Wohi Aable Hain Wohi Jalan
Wohi Aable Hain Wohi Jalan
Koi Soze Dil Me Kami Nahi
Jo Laga Ke Aag Gaye The Tum
Wo Lagi Hui Hai Bujhi Nahi.
Teri Yaad Aisi Hai Ba Wafa
Pase Marg Bhi Na Hui Juda
Teri Yaad Me Hamin Mitgaye
Teri Yaad Dil Se Miti Nahi.
Meri Zindagi Pe Na Muskura
Mujhe Zindagi Ka Ilm Nahi
Jise Tere Gham Se Ho Waasta
Wo Khizaan Bahaar Se Kam Nahi.
Mera Kufr Haasile Zuhd Hai
Mera Zuhd Haasile Kufr Hai
Meri Bandagi Hai Wo Bandagi
Ro Raheen -E- Dairo Haram Nahi.
Wohi Karwaan Wohi Raaste
Wohi Zindagi Wohi Marhale
Magar Apne Apne Maqaam Par
Kabhi Ham Nahi Kabhi Tum Nahi.
Na Wo Shaane Jabre Shabaab Hai
Na Wo Range Tehre Azaab Hai
Dile Beqaar Pe In Dinon
Hai Sitam Yehi Ke Sitam Nahi.
Hai Fana Meri Na Baqa Meri
Mujhe Aye Shakeel Na Dhoondiye
Mai Kisi Ka Husne Khayaal Hoon
Ke Mera Wajood -O- Adam Nahi.