Miljaaye Muqaddar Se Gadayi Tere Dar Ki
Miljaaye Muqaddar Se Gadayi Tere Dar Ki
Kalaam of Syed Abul Hasan Hussaini Sahab
Miljaaye Muqaddar Se Gadayi Tere Dar Ki
Palkon Se Kiye Jaaun Safayi Tere Dar Ki.
Bas Mashghala -E- Naat Hi Din Raat Raha Hai
Aalam Me Lutaata Hoon Kamayi Tere Dar Ki.
Poocha Hai Kisi Ne Jo Pata Mere Watan Ka
Phir Maine Use Raah Dikhayi Tere Dar Ki.
Duniya Ke Nazaare Mujhe Bhaate Hi Nahi Hai
Jaali Wo Nigaahon Me Samayi Tere Dar Ki.
Tareek Nigaahon Ko Ajab Noor Mila Hai
Gumbad Se Hai Kya Jalwa Numayi Tere Dar Ki.
Sarkar Bulalije Mujhe Jald Madina
Mujhse Na Sahi Jaaye Judayi Tere Dar Ki.
Ahmed Ko Sada Rakhna Tere Shehr Me Aaqa
Sab Se Ye Dua Iss Ne Hai Paayi Tere Dar Ki.