Arsh Ka Jispe Dhoka Ho
Arsh Ka Jispe Dhoka Ho
Kalaam of Hazrath Jameel Uddin Sharfi R.a
Arsh Ka Jispe Dhoka Ho
Wo Bhi Unki Kutiya Ho.
Aayina Ya Patka Ho
Hairath Unka Shewa Ho.
Lashkar Saara Pyaasa Ho
Ungli Ka Fawwara Ho.
Naqshe Qadam Par Sajda Ho
Saccha Mera Sapna Ho.
Peshani Par Meri Bhi
Naqshe Qadam Ka Naqsha Ho
Naqshe Paa Ka Faizan Hai
Rethi Saari Sona Ho.
Kankar Kankar Par Qabza
Be Roohon Me Charcha Ho.
Pyaasa Unki Rehmath Ka
Dariya Ho Ya Qatra Ho.
Waqt Na Tay Hai Dene Ka
Daman Har Dam Phaila Ho.
Jab Bhi Mera Dam Nikle
Saamne Unka Chehra Ho.
Dekh Ke Unko Naat Kahun
Kaash Jameel Ab Aisa Ho.