Roop Uske Nit Naye Aur Aayina Khaane Hazaar

Roop Uske Nit Naye Aur Aayina Khaane Hazaar

Kalaam of Kamil

Roop Uske Nit Naye Aur Aayina Khaane Hazaar
Mustaqil Sirf Ek Haqiqat Uske Afsaane Hazaar.

Sainkdon Qum Thokaron Me Aur Paimaane Hazaar
Chashme Saaqi Ki Inayath Hai To Maikhane Hazaar.

Husn Hi Se Ishq Ke Bante Hain Afsaane Hazaar
Shamm'a Khud Paida Kiye Leti Hai Parwane Hazaar.

Har Nazar Par Hai Izaafa E'teraafe Ijz Me
Faida Kya Hai Agar Uske Julookhaane Hazaar.

Koi Parda Ho Haqiqath Ko Chupa Sakta Nahi
Aaye Din Bante Rahe Duniya Me Afsaane Hazaar.

Kis Ne Uski Kinne Paayi Kisko Irfaan Par Ghamand
Yoon To Hain Sahab Nazar Aur Jaane Pehchane Hazaar.

Aapse Har Simt Aankhein Chaar Hojati To Hain
Chaahe Hairath Me Hi Daalein Aayina Khaane Hazaar.

Aapke Jalwe Salamath Hain To Dekha Jaayega
Sainkdon Kaabe Baneinge Aur Buthkhaane Hazaar.

Kya Hua Teri Muhabbath Me Jo Kamil Mar Mitaa
Tu Rahe Daaim Salamath Aise Deewane Hazaar.