Waarise Haale Matloobe Jallo Ulaa
Waarise Haale Matloobe Jallo Ulaa
Kalaam of Layeeq
Waarise Haale Matloobe Jallo Ulaa
Sayyada Fatima Sayyada Fatima
Aap Me Jalwagar Sayyadul Ambiya
Sayyada Fatima Sayyada Fatima.
Hasile Zindagi The Jo Noore Nazar
Jinka Maskan Tha Aaghoshe Khairul Bashar
Unse Zinda Kiya Tumne Naame Wafa
Sayyada Fatima Sayyada Fatima.
Aankh Waalon Pe Jin Se Haqaaiq Khulein
Ek Shahoodi Tajalli Jinhe Keh Saken
Aise Bete Kiye Tumko Haq Ne Ata
Sayyada Fatima Sayyada Fatima.
Sarware Ambiya Ki Ho Laqte Jigar
Sau Durood Aap Par Sau Salaam Aap Par
Aap Se Mo'attbar Lafze Aale Abaa
Sayyada Fatima Sayyada Fatima.
Jis Ke Ghar Rehmaton Ke Dafeene Gade
Unke Haaton Me Chakki Se Gathen Padhe
Ye Sharaf Kisne Paaya Tumhare Siwa
Sayyada Fatima Sayyada Fatima.
Saaf Mazmoon Hai Sura -E- Dahr Ka
Maangne Waala Koi Bhi Jab Aagaya
Aapke Dar Se Phir Wo Na Khaali Phira
Sayyada Fatima Sayyada Fatima.
Ek Enayath Ka Ye Bhi Talabgaar Hai
Chashme Rehmat Ka Mauroosi Haqdaar Hai
Khaana Zaade Azal Hai Layeeq Aapka.
Sayyada Fatima Sayyada Fatima.