Ajeeb Aizaaz Hai Salle Alaa Khatoone Jannat Ka
Ajeeb Aizaaz Hai Salle Alaa Khatoone Jannat Ka
Kalaam of Behosh Mehboobnagri
Ajeeb Aizaaz Hai Salle Alaa Khatoone Jannat Ka
Nabi Khatoone Jannat Ke Khuda Khatoone Jannat Ka.
Samajhme Aayega Kya Martaba Khatoone Jannat Ka
Ke Aalam Hai Qirad Se Maawra Khatoone Jannat Ka.
Nabi Walid Hain Shauhar Hain Ali Hasnain Bete Hain
Maqaam Uncha Hai Kitna Sayyada Khatoone Jannat Ka.
Qayamath Tak Rahega Faize Sadaat -E- Bani Hashim
Nabi Ki Aal Sab Hain Silsila Khatoone Jannat Ka.
Wilayath Kya Imamat Kya Sab Unke Zere Saaya Hai
Do Aalam Me Hai Sab Ko Aasra Khatoone Jannat Ka.
Kami Aane Na Di Laqte Jigar Ki Pasdaari Me
Lehaaz Aaqa Ne Farmaya Sada Khatoone Jannat Ka.
Meri Kya Haisiyath Noore Rasoolallah Ke Aage
Mai Hoon Behosh Ek Adna Gada Khatoone Jannat Ka.