Aap Kya Jaane Fatima Kya Hai

Aap Kya Jaane Fatima Kya Hai

Sura -E- Qadr Ka Ye Naara Hai
Aap Kya Jaane Fatima Kya Hai.

Jisko Muqthare Amr Kehte Hain
Jiski Raaton Ko Qadr Kehte Hain
Subho Ko Jiski Fajr Kehte Hain
Shaam Ko Jiski Asr Kehte Hain
Har Zamane Pe Jiska Khabza Hai
Aap Kya Jaane Fatima Kya Hai.

Qadr Jisko Sada Qaza N be Kaha
Sayyada Jisko Murtaza Ne Kaha
Apni Maa Jisko Mustafa Ne Kaha
Kanze Maqfi Jise Khuda Ne Kaha
Jiski Chaukhat Pe Kaaba Jhukta Hai
Aap Kya Jaane Fatima Kya Hai.

Jiske Dar Se Ho Hal Ata Ko Ata
Innama Ki Amaa Ka Hai Gosha
Kul Kafa Jiska Khud Gawah Bana
Fatiha Karrahi Hai Jiski Sana
Poora Quran Hi Qaseeda Hai
Aap Kya Jaane Fatima Kya Hai.

Jiski Chadar Ko Aasman Kahiye
Apne Bacchon Ka Saayeban Kahiye
Isko Al Hamd Ka Nishaan Kahiye
Hashr Ki Dhoop Me Amaa Kahiye
Kulle Imaan Ka Jo Musalla Hai
Aap Kya Jaane Fatima Kya Hai.

Jiska Baba Rasool Aashiqe Rab
Jiske Bete Hasan Hussain Laqab
Ye Jahan Me Hai Sab Se Accha Nasab
Jiska Shohar Ali Ameere Arab
Sura -E- Noor Jiska Shijra Hai
Aap Kya Jaane Fatima Kya Hai.

Ye Gharana Saqi Mila Hamko
Issi Ghar Se Nabi Mila Hamko
Har Wasi Har Wali Hamko
Ek Wali Kya Ali Mila Hamko
Issi Ghar Se Khuda Bhi Paaya Hai
Aap Kya Jaane Fatima Kya Hai.

Jiska Ek Beta Hai Imaame Hasan
Ek Beta Hussain Shaahe Zaman
Ek Abbas Misle Qilla Shikhan
Jisne Seekha Ali Se Jang Ka Fan
Jiska Dariya pe Ab Bhi Khabza Hai
Aap Kya Jaane Fatima Kya Hai.

Ghazi Bola Mizaaj Qeher Me Hai
Mera Ham Palla Kaun Sheher Me Hai
Pyaas Ka Sadde Baab Neher Me Hai
Neher Ye Sayyada Ke Meher Me Hai
Meher Ye Khud Khuda Ne Rakkha Hai
Aap Kya Jaane Fatima Kya Hai.

Dar Pe Jo Sar Jhuka Nahi Sakta
Deen Majid Wo Paa Nahi Sakta
Har Koi Dar Ko Paa Nahi Sakta
Aaira Ghaira To Aa Nahi Sakta
Malak -Ul- Maut Aa Ke Rukta Hai
Aap Kya Jaane Fatima Kya Hai.