Yoon To Kya Kya Nazar Nahi Aata
Yoon To Kya Kya Nazar Nahi Aata
Kalaam of Amjad Hyderabadi Sahab
Yoon To Kya Kya Nazar Nahi Aata
Koi Tumsa Nazar Nahi Aata.
Dhoondti Hai Jise Meri Aankhein
Wo Tamasha Nazar Nahi Aata.
Ho Chali Khatm Intezaar Me Umr
Koi Aata Nazar Nahi Aata.
Jholiyan Sab Ki Bharti Jaati Hain
Dene Waala Nazar Nahi Aata.
Zere Saaya Hoon Uske Aye Amjad
Jiska Saaya Nazar Nahi Aata.