Hojaate Hain Khud Raste Hamwaar Madine Ke
Hojaate Hain Khud Raste Hamwaar Madine Ke
Kalaam of Peer Naseer Uddin Naseer Sahab
Hojaate Hain Khud Raste Hamwaar Madine Ke
Bulwate Hain Jab Shaahe Abraar Madine Ke.
Kyun Kar Na Falak Ko Bhi Iss Sheher Pe Raskh Aaye
Baste Hain Madine Me Muqthaar Madine Ke.
Aankhon Ko Ataa Hoga Surma –E- Binaayi
Baqsheinge Jilaa Dil Ko Anwaar Madine Ke.
Barson Ki Ibadath Ka Haasil Hai Har Ek Lamha
Sau Saal Pe Bhaari Hain Din Chaar Madine Ke.
Uss Daur –E- Muqaddas Ki Yaadon Ke Tasawwur Me
Dekheinge Zara Chal Kar Bazaar Madine Ke.
Aye Bakht –E- Rasa Khush Ho Baqshish Ki Ghadi Aayi
Wo Dekh Nazar Aaye Minaar Madine Ke.
Behtar Hai Kisi Gul Se Kaanta Rahe Taiba Ka
Jannat Se Haseen Tar Hain Gulzaar Madine Ke.
Apnon Ka Muqaddar Hai Irfaan Ki Ye Daulat
Ghairon Pe Nahi Khulte Asraar Madine Ke.
Tum Laakh Mitaa Daalo Dharti Se Inhein Lekin
Mehfooz Hain Zehnon Me Aasar Madine Ke.
Aaqa Ki Sanaon Me Katjaaye Safar Accha
Miljayein Agar Saathi Do Chaar Madine Ke.
Aye Dev –E- Hawas Mujhpar Kya Zor Chale Tera
Rehte Hain Mere Dil Me Dildaar Madine Ke.
Phir Usko Nahi Rehti Hasrath Kisi Manzar Ki
Hojayein Jise Haasil Deedar Madine Ke.
Hai Turfa Mizaaj Inka Dildaar Ilaaj Inka
Isaa Se Na Acche Hon Beemar Madine Ke.
Ye Aabe Najis Uthwaa Ye Jaam –O- Suboo Lejaa
Peete Hain Madine Ki Maikhwaar Madine Ke.
Iss Aas Pe Baitha Hoon Muddat Se Naseer Ab Tak
Shayad Kabhi Bulwalein Sarkar Madine Ke.