Aap Sa Dono Jahan Me Nazar Aaya Hi Nahi

Aap Sa Dono Jahan Me Nazar Aaya Hi Nahi

Aap Sa Dono Jahan Me Nazar Aaya Hi Nahi
Kyun Ke Allah Ne Koi Aur Banaya Hi Nahi.

Aapne Jab Se Nawaza Hai Ya Rasoolallah
Maine Daman Kisi Chaukhat Pe Bichaya Hi Nahi.

Jo Bhi Kaabe Se Palat Aaye Madina Na Gaye
Ye Samajhlo Use Aaqa Ne Bulaya Hi Nahi.

Jab Kaha Qabr Me Sarkar Ne Ye Mera Hai
Phir Nakeeron Ne Mujhe Haath Lagaya Hi Nahi.

Aapki Naat Hi Shehzad Ka Sarmaaya Hai
Iss Nikamme Ne To Kuch Aur Kamaaya Hi Nahi.

More from Naat -E- Shareef

  • Aaj Ashk Mere Naat Sunayein To Ajab Kya
  • Aouj Paana Mere Huzoor Ka Hai
  • Aaj Sik Mitran Di Wadheriye
  • Aankhon Ka Taara Naame Muhammad
  • Aansu Meri Aankhon Me Nahi Aaye Hue Hain
  • Aaqa Aaqa Bol Bande Aaqa Aaqa Bol