Laa Makaan Se Jo Makaan Me Qadam Unka Utra
Laa Makaan Se Jo Makaan Me Qadam Unka Utra
Kalaam of Hazrath Khwaja Shouq Sahab
Laa Makaan Se Jo Makaan Me Qadam Unka Utra
Aadmiyyath Ka Zamane Me Sawera Utra.
Aks Utra Na To Lafzon Me Sarapa Utra
Haq Ka Jalwa Bashariyyath Me Bhi Yakta Utra.
Ek Ek Karke Mite Naqsh The Jitne Dil Par
Dil Ki Gehraayi Me Utra To Madina Utra.
Ilme Mutlaq Ka Wo Quran Sarapa Tum Ho
Jo Kitabon Me Nahi Seena Ba Seena Utra.
Kaun Uss Noor Ki Raftaar Samajh Payega
Ek Pal Me Sare Qausain Jo Pohoncha Utra.
Shabe Asra Jo Libaas Aapke Zebe Tan The
Uski Taseer Ka Suraj Bhi Na Shaaha Utra.
Shakle Rahat Kabhi Pal Bhar Ko Na Dekhe Lekin
Umr Bhar Aapki Rehmath Ka Na Dariya Utra.
Kis Pe Aaqa Ke Siwa Khatme Nabuwwat Hoti
Haq Ke Miyaar Pe Koi Bhi Na Poora Utra.
Apne Andar Bhi Kabhi Shouq Utar Kar Dekho
Noore "Lau Laaka Lama" Rooh Me Kitna Utra.