Dil -O- Jaan Ko Har Aafath Se Bacha Kar Ham Bhi Dekheinge

Dil -O- Jaan Ko Har Aafath Se Bacha Kar Ham Bhi Dekheinge

Kalaam of Syed Naseer Uddin Naseer Sahab

Dil -O- Jaan Ko Har Aafath Se Bacha Kar Ham Bhi Dekheinge
Panahe Gumbade Khazra Me Aakar Ham Bhi Dekheinge.

Falak Ke Chand Taaron Ko Yaqeenan Rashk Aayega
Jabeen Uss Dar Ke Zarron Se Saja Kar Ham Bhi Dekheinge.

Unhi Ki Yaad Lekar Saath Pohoncheinge Sare Manzil
Unhi Ka Hamsafar Khud Ko Bana Kar Ham Bhi Dekheinge.

Koi Mushkil Nahi Sarkar Ka Deedar Hojana
Ba Sad Minnat Tasawwur Me Bula Kar Ham Bhi Dekheinge.

Kabhi To Unke Jalwon Se Ye Ghar Bhi Jagmagayega
Charaghe Aarzu Dil Me Jala Kar Ham Bhi Dekheinge.

Madine Se Siwa Jannat Nahi Hai Unke Talib Ko
Magar Allah Ki Naimath Hai Jaakar Ham Bhi Dekheinge.

Suna Hai Ahle Nisbath Ko Ataa Deedar Hota Hai
Hareem -E- Husn Ka Parda Utha Kar Ham Bhi Dekheinge.

Gadayi Milgayi Hai Aye Naseer Us Shaahe Bat'ha Ki
Nazar Ab Kajkulahon Se Mila Kar Ham Bhi Dekheinge.

More from Naat -E- Shareef

More kalaam of Syed Naseer Uddin Naseer Sahab

  • Aaj Ashk Mere Naat Sunayein To Ajab Kya
  • Aouj Paana Mere Huzoor Ka Hai
  • Aaj Sik Mitran Di Wadheriye
  • Aankhon Ka Taara Naame Muhammad
  • Aansu Meri Aankhon Me Nahi Aaye Hue Hain
  • Aap Sa Dono Jahan Me Nazar Aaya Hi Nahi