Fazle Rabbul Ulaa Mubarak Ho
Fazle Rabbul Ulaa Mubarak Ho
Kalaam of Saif Sharfi
Fazle Rabbul Ulaa Mubarak Ho
Aamade Mustafa Mubarak Ho.
Aap Haajat Rawayi Karte Hain
Ya Nabi Har Jagah Mubarak Ho.
Aap Mushkil Kushayi Karte Hain
Ya Ali Har Jagah Mubarak Ho.
Sar Pe Saaya Nabi Ke Daman Ka
Daste Ghousul Wara Mubarak Ho.
Lutf Farma Rahe Ghareeb Nawaz
Barkate Chishtiya Mubarak Ho.
Phool Khushiyon Ke Yunhi Khilte Rahein
Shadmani Sada Mubarak Ho.
Jinki Khatir Hai Bazm Aarayi
Wo Hai Raunaq Faza Mubarak Ho.
Ghar Tumhara Rahe Sada Aabad
Ghar Pe Fazle Khuda Mubarak Ho.
Dono Aalam Me Aap Par Saifi
Saaya -E- Mustafa Mubarak Ho.