Fazle Rabbul Ulaa Sayyada Fatima

Fazle Rabbul Ulaa Sayyada Fatima

Fazle Rabbul Ulaa Sayyada Fatima
Aap Par Hai Sada Sayyada Fatima.

Dukhtar -E- Mustafa Sayyada Fatima
Zauja –E- Murtaza Sayyada Fatima.

Shaane Aale Abaa Aap Hi Se To Hai
Jaane Khairul Wara Sayyada Fatima.

Paakiyon Ko Bada Naaz Hai Aap Par
Taiyyaba Tahira Sayyada Fatima.

Aapse Paayi Hain Sab Nisa –E- Jahan
Ye Shaoor –E- Haya Sayyada Fatima.

Wo Sakhawat Ke Haq Ke Liye Aap Ne
Ghar Ka Ghar Dediya Sayyada Fatima.

Hai Nasab Me Gharon Me Dilon Me Sada
Aap Hi Se Ziya Sayyada Fatima.

More from Manqabat -E- Sayyida -E- Kayenath S.A

  • Aap Hain Sarkar Ki Noore Nazar Khairun Nisa
  • Aap Kya Jaane Fatima Kya Hai
  • Ajeeb Aizaaz Hai Salle Alaa Khatoone Jannat Ka
  • Baad Az Nabi Buzurg Hain Bartar Hain Fatima
  • Badhegi Taa Abad Shaane Ulaa Har Aan Zahra Ki
  • Bat'ta Hai Do Jahan Me Sadqa Batool Ka