Paakiyon Ka Thikana Salamath Rahe
Paakiyon Ka Thikana Salamath Rahe
Kalaam of Haseeb Sharfi Sahab
Paakiyon Ka Thikana Salamath Rahe
Har Hussaini Gharana Salamath Rahe.
Hai Ali Hi Ali Dekho Tum Jis Taraf
Murtaza Ka Zamana Salamath Rahe.
Phool Ki Pankhudi Aur Nabi Ke Hain Lab
Phool Ka Khilkhilana Salamath Rahe.
Chehraye Mustafa Se Kaha Aayina
Aks Ka Ye Thikana Salamath Rahe.
Sayyada Fatima Hi Nabi Ki Hain Jaan
Jaan Ka Har Khazana Salamath Rahe.
Baccha Baccha Hussaini Hai Misle Gulaab
Inka Bas Muskurana Salamath Rahe.
Raat Hijrath Ali Sabz Chadar Nabi
Haq Ka Ye Aazmana Salamath Rahe.
Karbala Me Diya Hai Jo Maula Ka Saath
Hoshmand Wo Deewana Salamath Rahe.
Ya Nabi Kya Wohi Ek Meraj Thi
Arsh Pe Aana Jaana Salamath Rahe.
Haq Ki Khaatir Jiyo Haq Ki Khaatir Maro
Karbala Ka Tarana Salamath Rahe.
Ek Aabid Rahe Hogaye Sab Shaheed
Aabidi Aastana Salamath Rahe.
Hai Ali Haq Ke Saath Haq Ali Ke Hai Saath
Faisla Aadilana Salamath Rahe.
Jispe Ehsaan Karo Uske Shar Se Bacho
Mashwara Aalimana Salamath Rahe.
Har Gunahgaar Ki Hai Nabi Hi Ummeed
Aapka Naa Bhulana Salamath Rahe.
Kardiya Muaaf Makke Me Ashraar Ko
Faisla Marhamana Salamath Rahe.
Dekhne Aaye Hain Ambiya Hashr Me
Hai Shafa'ath Bahana Salamath Rahe.
Jaan -E- Momin Pe Hai Qabza -E- Mustafa
Qabza -E- Maalikana Salamath Rahe.
Panjatan Ke Tufaili Gaye Khuld Me
Unka Waan Aabo Daana Salamath Rahe.
Ibne Moosa Raza Ki Mehek Hai Yahan
Khushbuon Ka Thikana Salamath Rahe.
Ibne Moosa Raza Sa Sakhi Hai Koi
Ye Hussaini Khazana Salamath Rahe.
Waarise Murtaza Ka Hai Dastar Bicha
Unka Khaana Khilana Salamath Rahe.
Jo Hameedi Hua Wo Sakhi Hogaya
Uska Dena Dilana Salamath Rahe.
Hai Hameedi Chaman Panjatan Ka Chaman
Mash'hadi Aastana Salamath Rahe.
Ba Adab Peer Saifi Ki Karde Nazar
Wo Nazar Taairana Salamath Rahe.
Maula Ta'ala Fazal Sab Pe Har Pal Rahe
Ye Dua Panjagana Salamath Rahe.
Ibne Saifi Teri Zindagi Hai Nabi
Tera Jeena Shahana Salamath Rahe.