Tum Jo Chaho To Mere Dard Ka Darmaan Hojaye

Tum Jo Chaho To Mere Dard Ka Darmaan Hojaye

Kalaam of Bedam Warsi

Tum Jo Chaho To Mere Dard Ka Darmaan Hojaye Warna Mushkil Hai Ke Mushkil Meri Aasan Hojaye. Apni Hasti Ka Agar Husn Numayaan Hojaye Aadmi Kasrat -E- Anwaar Se Hairaan Hojaye. Kaash Mujhpar Hi Mere Yaar Ka Dhoka Hojaye Deed Ki Deed Tamashe Ka Tamasha Hojaye. Aou Namak Paash Tujhe Apni Malahat Ki Qasam Baat To Jab Hai Ke Har Zakhm Namakdaan Hojaye. Dene Waale Tujhe Dena Hai To Itna Dede Ki Mujhe Shikwa -E- Kotaahi -E- Damaan Hojaye. Iss Siyah Bakht Ki Raatein Bhi Koi Raatein Hain Khwab Rahat Bhi Jise Khwab Pareshan Hojaye. Khwab Me Bhi Nazar Aajayen Jo Aasare Bahaar Bad Ke Daman Se Ham Aaghoshe Girebaan Hojaye. Seena -E- Shibli -O- Mansoor To Phoonka Hota. Iss Taraf Bhi Karam Aye Jumbishe Damaan Hojaye. Tu Jo Asraare Haqiqath Kahin Zaahir Karta Abhi Bedam Rusn -O- Daar Ka Samaan Hojaye.