Karam Hojaye To Karlun Nazaara Ya Rasoolallah

Karam Hojaye To Karlun Nazaara Ya Rasoolallah

Kalaam of Kamil

Karam Hojaye To Karlun Nazaara Ya Rasoolallah
Nahi Hai Jurr'ate Arze Tamanna Ya Rasoolallah.

Tumhi Se Nisbate Waraftagi Par Faqr Karte Hain
Tumhi Par Hai Hamara Naaz Saara Ya Rasoolallah

Meri Baqshish To Kya Duniya Ki Baqshish Ke Liye Bas Hai
Tumhari Chashme Rehmath Ka Ishaara Ya Rasoolallah.

Khud Apna Zille Rehmath Aapko Haq Ne Banaya Hai
Uthakar Aapse Har Ek Saaya Ya Rasoolallah.

Qasam Allah Ki Saare Mazair Yoon Hi Rehjaate
Agar Tumko Khuda Paida Na Karta Ya Rasoolallah

Amal Kaise Amal Kiske Amal Aur Unki Qeemat Kya
Mujhe To Dijiye Apna Utaara Ya Rasoolallah.

Mujassam Rehmate Haq Ka Tasawwur Jab Hua Kamil
Nazar Me Phirgaya Naqsha Tumhara Ya Rasoolallah.