Khuda Jaane Khuda Ko Hi Nazar Aate Ho Kya Kya Tum
Khuda Jaane Khuda Ko Hi Nazar Aate Ho Kya Kya Tum
Kalaam of Hazrath Jameel Uddin Sharfi R.a
Khuda Jaane Khuda Ko Hi Nazar Aate Ho Kya Kya Tum
Asaa Haathon Me Lekar Odh Kar Kaali Kamaliya Tum
Tumhari Zaat Ka Iqraar Khud Hi Jabr -E- Fitrath Hai
Tumhara Naam Kalme Me Shareek -E- Zikre Maula Tum.
Kahan Jayein Bashar Ke Roop Ki Kamil Ziyarath Ko
Kahan Par Chord Aaye Ho Bataao Apna Saaya Tum.
Yahan Rehmath Ke Ek Qatre Ki Wus'ath Me Samandar Hai
Wahan Par Haal Kya Hoga Baha Doge Jo Dariya Tum.
Tumhare Naam Se Hi Abd -O- Rab Me Ek Ta'alluq Hai
Duroodon Ka Iraada Tum Duaon Ki Tamanna Tum.
Meri Haajat Se Badhkar Hi Meri Imdaad Karte Ho
Kiya Karte Ho Yoon Poori Meri Har Ek Tamanna Tum.
Koi Siski Agar Mehsoos Ho Rauze Ki Jaali Par
Jameel Uddin Aaya Hai Zara Itna Samajhna Tum.