Fatima Teri Chadar Ka Kya Puchna
Fatima Teri Chadar Ka Kya Puchna
Fatima Teri Chadar Ka Kya Puchna
Teri Chadar Ka Ehsan Islam Par
Teri Chadar Ke Tukde Bahattar Hue
Un Bahattar Ka Ehsaan Islam Par.
Sayyida Tere Baba Habeebe Khuda
Tere Shauhar Hain Maula Ali Murtaza
Tere Bacche Shaheedane Karbobala
Tere Ghar Bhar Ka Ehsaan Islam Par.
Gira...
Hussain Banke Zamane Me Chagayi Zainab
Zubaan Ke Tegh Se Kufa Hilagayi Zainab
Qadam Qadam Pe Jalaaye Hussainiyath Ke Charagh
Diye Yazeed Ke Saare Bujhaa Gayi Zainab
Sher...
Ran Me Zainab Ne Yoon Haq Adaa Kardiye
Yaani Tameele Hukme Khuda Kardiya
Apni Bacchon Ko Deen Par Fida Kardiya
Aisa Maadar Ka Ehsaan Islam Par.
Zikre Jabaaze Talib Karein Kya Bayaan
Lutgaye Ran Me Jab Saare Teero Jawaan
Had To Ye Hai Ke Ek Tishna Lab Be Zubaan
Ran Me Asghar Ka Ehsaan Islam Par.