Ye Choti Si Kutiya Dikhayi Na De

Ye Choti Si Kutiya Dikhayi Na De

Kalaam of Hazrath Jameel Uddin Sharfi R.a

Ye Choti Si Kutiya Dikhayi Na De
Base Isme Raja Dikhayi Na De.

Ataa Kardiya Kya Dikhayi Na De
Gawahi Ko Saaya Dikhayi Na De.

Andhera Ujaala Dikhayi Na De
Jahan Bhi Madina Dikhayi Na De.

Tasawwur Me Raushan Hue Naqshe Paa
Andhera Andhera Dikhayi Na De.

Ho Kis Raushni Me Samaye Hue
Ke Saaya Badan Ka Dikhayi Na De.

Wo Mehshar Ka Aalam Bhi Mehshar Nahi
Agar Kamli Waala Dikhayi Na De.

Ye Angusht Zam Zam Na Kausar Koi
Agar Aisa Dariya Dikhayi Na De.

Jahan Bhar Ki Khushbuein Sharminda Hain
Paseena Paseena Dikhayi Na De.

Taqabul Ki Nazrein Sare Arsh Hon
Madina Madina Dikhayi Na De.

Ye Hai Jabr Fitri Nazar Ka Jameel
Koi Unke Jaisa Dikhayi Na De.

More from Hyderabadi Kalaam

More kalaam of Hazrath Jameel Uddin Sharfi R.a

  • Aap Kaunain Ki Hain Jaan Rasoole Arabi
  • Aayina -E- Haq Rooe Munawwar
  • Agar Che Mehr -O- Maah Se Raat Din Hai Raabta Apna
  • Agar Ham Bhi Madine Me Pale Hote
  • Ahwal Unko Roke Sunane Ki Der Hai
  • Ali Mushkil Kusha Ka Naam Japna Meri Aadat Hai