Iffat -O- Haya Ka Ghar Sayyada Ki Chadar Hai
Iffat -O- Haya Ka Ghar Sayyada Ki Chadar Hai
Kalaam of Waseem Ilhaami
Iffat -O- Haya Ka Ghar Sayyada Ki Chadar Hai
Azmaton Ka Ek Mehwar Sayyada Ki Chadar Hai.
Jaise Kaali Kamli Hai Har Ghulam Ke Sar Par
Har Kaneez Ke Sar Par Sayyada Ki Chadar Hai.
Jisko Dekh Kar Imaan Laaliya Yahoodi Ne
Noore Haq Ka Wo Paikar Sayyada Ki Chadar Hai.
Jang Aur Museebath Me Na Juda Hui Sar Se
Goya Ek Sipar Bankar Sayyada Ki Chadar Hai.
Kaise Kaise Gauhar Hain Unse Aaj Wabasta
Meri Bazm Ka Manzar Sayyada Ki Chadar Hai.
Qalb Jiska Raushan Hai Wo Ye Dekh Sakta Hai
Kaali Kamli Ka Astar Sayyada Ki Chadar Hai.
Aankh Jis Se Raushan Hai Aye Waseem Wo Tukda
Kaali Kamli Hai Ya Phir Sayyada Ki Chadar Hai.