Arsh Se Farsh Pe Jab Maahe Madina Utra
Arsh Se Farsh Pe Jab Maahe Madina Utra
Kalaam of Hz Zirak Sharfi
Arsh Se Farsh Pe Jab Maahe Madina Utra
Chehra -E- Kufr Usi Din Se Hai Utra Utra.
Zindagi Kyun Na Ho Anwaar -E- Nabi Se Raushan
Dil Ke Aayine Me Hai Gumbade Khazra Utra.
Aur Nabiyon Me Bhi Utre Hai Sahaif Lekin
Jaisa Quran Hai Aisa Na Saheefa Utra.
Kufro Baatil Ka Andhera Tha Zamane Bhar Me
Wo Utar Aaye To Noorani Sawera Utra.
Dekh Kar Jinko Musalman Hue Jee Jaan Se Log
Aisi Surath Ke Liye Arsh Ka Jalwa Utra.
Hukme Aaqa Se Jo Padhne Lage Kankar Kalma
Khil Utha Chehra Kisi Ka To Kisi Ka Utra.
Yoon To Kya Kya Na Khayalatein Hain Dil Me Mere
Kab Khayalon Se Mere Gumbade Khazra Utra.
Saif -E- Sharfi Ne Mere Parda -E- Dil Par Zirak
Chashme Rehmath Se Utaara To Madina Utra.