Jo Noor Falak Par Tha Asraar Ke Parde Me

Jo Noor Falak Par Tha Asraar Ke Parde Me

Kalaam of Altaf Samdani

Jo Noor Falak Par Tha Asraar Ke Parde Me
Wo Noor Simat Aaya Sarkar Ke Chehre Me.

Aadam Me Nazar Aaya Jo Noor Muhammad Ka
Ek Laqt Gire Saare Tazeem Ko Sajde Me.

Saaya Nazar Aaye To Aayega Bhala Kaise
Jab Kauno Makaan Khud Hai Sarkar Ke Saaye Me.

Lehja Bhi Khuda Ka Hai Naqsha Bhi Khuda Ka Hai
Ye Kaun Chala Aaya Insaan Ke Parde Me.

Gar Chashme Baseerat Se Dekho To Nazar Aaye
Kaabe Me Madina Hai, Kaaba Hai Madine Me.

Barbaade Zamana Hoon Taqdeer Ka Maara Hoon
Sarkar Karam Kardo Hasnain Ke Sadqe Me.

Nuqta Ye Mila Mujhko Altaf Faqeeron Se
Allah Ko Dhoondo Tum Allah Ke Bande Me.