Mabood Hai Tu Bande Hain Ham

Mabood Hai Tu Bande Hain Ham

Kalaam of Naseer Uddin Bismil Sahab

Mabood Hai Tu Bande Hain Ham
Allah Karam Allah Karam
Jab Saath Ho Tu Kya Ho Koi Gham
Allah Karam Allah Karam.

Kab Tak Ye Sahein Ham Jo Rustam
Allah Karam Allah Karam
Kab Hoga Tera Ham Pe Karam
Allah Karam Allah Karam.

Quran Yehi Farmata Hain
Mazloom Ka Tu Rakhwala Hai
Tu Jaanta Hai Mazloom Hain Ham
Allah Karam Allah Karam.

Beshubha Teri Rehmath Maula
Ye Tere Ghazab Par Ghalib Hai
Mukhthar Hai Tu Majboor Hain Ham
Allah Karam Allah Karam.

Phir Kufr Hai Jo Laan Ya Allah
Har Zulm -O- Sitham Par Aamadah
Shiraazah -E- Muslim Hai Darham
Allah Karam Allah Karam.

Go Laakh Ghareeqe Isiyaan Hain
Mushrik To Nahi Kafir To Nahi
Mehboob Ki Taare Ummat Ham
Allah Karam Allah Karam.

Tu Maalik Hai Tu Khaalik Hai
Tu Qadir Hai Tu Naasir Hai
Hai Ummate Haq Par Kaisa Sitham
Allah Karam Allah Karam.

Gar Tu Na Sune To Kaun Sune
Tujhse Na Kahein To Kis Se Kahein
Majrooh -E- Sitham Majboor Karam
Allah Karam Allah Karam.

Be Saakhta Hazrath Nooh Ki
Yaad Aati Hai Ya Rab Phir Wo Dua
Tu Karde Naame Kufr Khatam
Allah Karam Allah Karam.

Kehte Hi Rahein Din Raat Ye Ham
Jab Tak Hai Hamare Dam Me Dam
Allah Karam Allah Karam
Allah Karam Allah Karam.

Paida Kiye Jinki Khaatir Se
Ye Arz -O- Sama Ye Kauno Makaan
Unki Hi Khaatir Karde Karam
Allah Karam Allah Karam.

Lekar Ye Badi Umeed karam
Aaye Hain Bade Hi Door Se Ham
Dikhlado Aaqa Apne Qadam
Allah Karam Allah Karam.

Dekhein To Tumhi Ko Dekhein Ham
Bolein To Tumhari Baat Karein
Ho Zikr Tumhara Jitna Hai Kam
Allah Karam Allah Karam.

Sultane Madina Salle Alaa
Hai Teri Dua Maqboole Khuda
Farmade Dua Kardega Karam
Allah Karam Allah Karam.

Sarkar Ke Apne Bismil Hain
Aur Unke Dar Ke Saail Hain
Hai Naam Unhi Ka Dil Pe Raqam
Allah Karam Allah Karam.

More from Hamd -E- Paak

More kalaam of Naseer Uddin Bismil Sahab

  • Allahu Jalla Jalalahu
  • Allah Hoo Allah Hoo
  • Allah Hoo Jalle Shaan
  • Allahu Baaqi Min Kulli Faani
  • Allah Karam Allah Karam
  • Apne Maalik Ka Mai Naam Lekar