Tareeqe Bandagi Hamko Bataana Ya Rasoolallah
Tareeqe Bandagi Hamko Bataana Ya Rasoolallah
Kalaam of Rafiuddin Sharfi Sahab
Tareeqe Bandagi Hamko Bataana Ya Rasoolallah
Saleeqa Naat Goyi Ka Sikhana Ya Rasoolallah.
Hame Taskeen Milti Hai Tumhari Paun Bosi Se
Lagaa Rakhna Hamara Aana Jaaa Ya Rasoolallah.
Yahan Har Ek Mausam Ki Alag Apni Kahani Hai
Hai Taiba Ka Har Ek Mausam Suhana Ya Rasoolallah.
Banu Adi Ka Wo Shahzor Bhi Mar'oob Hai Unse
Nigahon Me Asar Hai Mojizana Ya Rasoolallah.
Ghani Sab Kuch Nichawar Karrahe Hain Be Riyaai Se
Sakhawat Ke Liye Dhoondein Bahana Ya Rasoolallah.
Nabi Ke Maktabe Fikr -O- Amal Ke Aap Faarigh Hain
Hai Deewana Ali Ka Ek Zamana Ya Rasoolallah.
Rafi Aizaaz Hai Deewana Kehlana Muhammad Ka
Marun To Log Boleinge Deewana, Ya Rasoolallah.