Sayyade Duniya -O- Deen Ki Jaane Jaan Hain Sayyada
Sayyade Duniya -O- Deen Ki Jaane Jaan Hain Sayyada
Sayyade Duniya -O- Deen Ki Jaane Jaan Hain Sayyada
Sayyada Khud Aur Do Sayyad Ki Maa Hain Sayyada.
Isse Badhkar Aur Koi Aizaaz Hosakta Nahi
Sayyade Kaunain Ki Aarame Jaan Hai Sayyada.
Saaya -E- Qaule Ilaahi Me Ba Qaule Aayesha
Sayyade Kaunain Ka Sharh -O- Bayaan Hai Sayyada.
Kal Bhi Dukhiyaron Ke Dukh Me Thin Barabar Ki Shareek
Aaj Bhi Har Be Amaan Ko Ek Amaan Hain Sayyada.
Taa Abad Baaqi Rahegi Aale Paak -E- Mustafa
Karwane Rooh Ki Roohe Rawaan Hain Sayyada.
Kal Bhi Har Farman Sahaba Ko Tha Waj'he Ifteqaar
Aaj Bhi Ehle Yaqeen Par Hukmaraan Hain Sayyada.