Mujhe Shikwa Nahi Barbaad Rakh Aabad Rehne De
Mujhe Shikwa Nahi Barbaad Rakh Aabad Rehne De
Kalaam of Bedam Warsi Sahab
Mujhe Shikwa Nahi Barbaad Rakh Aabad Rehne De
Magar Lillah Mere Dil Me Apni Yaad Rehne De.
Qafas Me Qaid Rakh Ya Qaid Se Aazad Rehne De
Ba Har Surath Chaman Me Hi Mujhe Saiyyad Rehne De.
Mere Nashaad Rehne Se Agar Tujhko Masarrat Hai
To Mai Nashaad Hi Accha Mujhe Nashaad Rehne De.
Teri Shaane Taghaful Par Meri Barbadiyan Sadqe
Jo Barbaad -E- Tamanna Ho Use Barbaad Rehne De.
Tujhe Jitne Sitham Aate Hain Mujhpe Khatm Kardena
Na Koi Zulm Rehjaye Na Ab Bedaad Rehne De.
Na Sehra Me Behelta Hai Na Kooe Yaar Me Thehre
Kahin To Chain Se Mujhko Dile Nashaad Rehne De.
Kuch Apni Guzri Hi Bedam Bhali Malum Hoti Hai
Meri Beeti Sunade Khissa -E- Farhaad Rehne De.