Khudi Ka Sirre Nihaan

Khudi Ka Sirre Nihaan

Ki Haq Se Farishton Ne Iqbal Ki Ghammazi
Gustakh Hai Karta Hai Fitrat Ki Hinabandi

Khaaki Hai Magar Iske Andaaz Hai Aflaaki
Roomi Hai Na Shaami Hai Kaashi Na Samarqandi.

Sikhlayi Farishton Ko Aadam Ki Tadap Isne
Aadam Ko Sikhata Hai Aadabe Khudawandi.

Khudi Ki Jalwaton Me Kibriyai
Khudi Ki Khalwaton Me Mustafayi
Zameen -O- Aasman -O- Arsho Kursi
Khudi Ki Zad Me Hai Saari Khudayi
--------------------------

Khudi Ka Sirre Nihaan Laa Ilaaha Illallah
Khudi Hai Tegh Fasaan Laa Ilaaha Illallah.

Ye Daur Apne Baraheem Ki Talash Me Hai
Sanam Kada Hai Jahan Laa Ilaaha Illallah.

Kiya Hai Tu Ne Mataaye Ghuroor Ka Sauda
Fareb -E- Soodo Ziyaan Laa Ilaaha Illallah.

Ye Maal -O- Daulate Duniya Ye Rishta -O- Paiwand
Butaane Wehmo Gumaan Laa Ilaaha Illallah.

Ye Naghma Fasle Gulo Laala Ka Nahi Paband
Bahaar Ho Ke Khizaan Laa Ilaaha Illallah.

Girah...
Na Takht -O- Taaj Me Na Lashkare Sipaah Me Hai
Jo Baat Marde Qalandar Ki Bargaah Me Hai
Sanam Kadah Hai Jahan Aur Marde Haq Hai Khaleel
Ye Nukta Wo Hai Jo Posheeda Laa Ilaah Me Hai.

Ghafil Na Ho Khudi Se Kar Apni Paasbani
Shayad Kisi Haram Ka Tu Bhi Hai Aastana

Ye Bandagi Gadayi Wo Bandagi Khudayi
Ya Bandaye Khuda Ban Ya Bandaye Zamana

Teri Nigah Se Dil Seenon Me Kaampte The
Boya Gaya Hai Tera Jazbe Qalandarana

Sher...
Khirad Hui Hai Zaman -O- Makaan Ki Zunnari
Na Hai Zamaan Na Makaan Laa Ilaaha Illallah.

Agarche Buth Hain Jama'at Ki Aasteenon Me
Mujhe Hai Hukme Azaan Laa Ilaaha Illallah.

More from Hamd -E- Paak

  • Allahu Jalla Jalalahu
  • Allah Hoo Allah Hoo
  • Allah Hoo Jalle Shaan
  • Allahu Baaqi Min Kulli Faani
  • Allah Karam Allah Karam
  • Apne Maalik Ka Mai Naam Lekar