Lafzon Me Kya Samayega Rutba Hussain Ka
Lafzon Me Kya Samayega Rutba Hussain Ka
Lafzon Me Kya Samayega Rutba Hussain Ka
Kauno Makaan Ka Daata Hai Nana Hussain Ka.
Malikni Maa Hai Jannate Firdaus Fatima
Maulaye Kayenaat Hai Baba Hussain Ka.
Baad Az Nabi Ali Ke Hasan Ka Maqaam Hai
Sabse Bada Imaam Hai Bhaiya Hussain Ka.
Naushaye Karbala Bhi Maidaan Me Aagaya
Shere Khuda Ka Sher Bhatija Hussain Ka.
Jhoole Me Shaane Haidari Jisne Dikha Diya
Masoom Karle Laa Fatah Baccha Hussain Ka.
Ye Haidari Charagh Hai Bujhta Nahi Kabhi
Phaila Raha Hai Raushni Rauza Hussain Ka.
Tujhko Qasam Hai Karbala Haq Baat Bolde
Jannat Tujhe Bana Gaya Sajda Hussain Ka.
Mujhko Dikhane Laaya Tha Pagdi Yazeed Ki
Maine Use Dikhadiya Joota Hussain Ka.
Ab Isse Badhke Aur Laqab Tujhko Kya Mile
Ambar Nizami Tu To Hai Mangta Hussain Ka.