Aag Si Dil Me Lagi Aankh Se Chalka Paani

Kalaam of Peer Naseer Uddin Naseer

Aag Si Dil Me Lagi Aankh Se Chalka Paani
Kiska Gham Hai Ke Hua Apna Kaleja Paani.

Aansuon Ki Ghame Shabbir Me Badli Surath
Bangaya Aakhon Me Toofan Jo Umda Paani.

Ghaat Par Aake Bhi Abbas Ne Lab Tar Na Kiye
Haath Aaya To Magar Kaam Na Aaya Paani.

Tapishe Ishq -O- Wafa Jinke Kaleje Phoonke
Waarise Kausar -O- Tasneem Pe Roka Paani.

Aah Wo Hazate Shabbir Pe Bedaad -O- Sitham
Fitna Keeshon Se Wo Har Gaam Par Izaa Paani.

Bad Dua Dete Agar Ibne Ali Dariya Ko
Dhoonda Phirta Magar Haath Na Aata Paani.

Muztarib Hai Ke Shaheedon Ke Labon Tak Pohonche
Pehre Dushman Ke Lage Hon To Kare Kya Paani.

Jisne Pee Ho Mae Tasleem -O- Riza Roze Azal
Uski Daanist Me Kya Cheez Hai Dariya Paani.

Ye Musafir Ki Nigehdaasht Ye Mehman Ki Qadar
Karbala Me Na Mila Shaah Ko Daana Paani.

Tishnagi Dekhke Dariya Ko Agar Josh Aata
Saamne Hazrate Shabbir Ke Phirta Paani.

Boond Paani Ki Na Thi Aale Muhammad Ke Liye
Aur Peeti Rahi Duniya Labe Dariya Paani.

Karbala Me Shahe Deen Tak Jo Pohonchne Paata
Fakhr Se Paaun Zameen Par Kahin Dharta Paani.

Iss Khijaalat Se Ke Shabbir Ko Paani Na Mila
Saari Duniya Me Liye Phirta Hai Dariya Paani.

Karbala Thi Ali Asghar Ke Lahu Se Larzaan
Iss Qadar Zulm Ke Sar Se Hua Uncha Paani.

Paaun Rakhega Zameen Par Na Kabhi Mera Ghubaar
Kooe Shabbir Me Aakhir Hai Ise Jaa Paani.

Gharqe Hairath Tha Naseer Ahle Sitham Ka Jamghat
Taighe Akbar Ne Wo Maidaan Me Dikhaya Paani.