Dildaar Bade Aaye Mehboob Bade Dekhe
Dildaar Bade Aaye Mehboob Bade Dekhe
Kalaam of Muhammad Ali Zahoori Sahab
Dildaar Bade Aaye Mehboob Bade Dekhe
Jo Dekhe Sabhi Unke Qadmon Me Pade Dekhe.
Sardare Do Aalam Ki Tazeem Ke Kya Kehne
Mursal Bhi Sabhi Jinki Raahon Me Khade Dekhe.
Yaad Unke Madine Ki Jab Dil Me Utar Aayi
Palkon Ke Kinaron Pe Moti Se Jade Dekhe.
Mehboob Ki Midhath Me Hai Taabe Sukhan Kisko
Sab Ahle Sukhan Maine Hairat Me Khade Dekhe.
Un Jaisa Zahoori Ab Aayega Na Duniya Me
Dildaar Bade Aaye Mehboob Bade Dekhe.