Bade Lateef Hain Nazuk Se Ghar Me Rehte Hain
Bade Lateef Hain Nazuk Se Ghar Me Rehte Hain
Bade Lateef Hain Nazuk Se Ghar Me Rehte Hain
Mere Huzoor Meri Chashme Tar Me Rehte Hain.
Hamare Dil Me Hamare Jigar Me Rehte Hain
Unhi Ka Ghar Hai Wo Apne Hi Ghar Me Rehte Hain.
Khuda Ke Noor Ko Apni Tarah Samajhte Hain
Ye Kaun Log Hain Kiske Asar Me Rehte Hain.
Ye Waqiya Hai Libase Bashar Bhi Dhoka Hai
Ye Maujza Hai Libase Bashar Me Rehte Hain.
Muqaam Unka Na Farshe Zameen Na Arshe Bareen
Wo Apne Chahne Waalon Ke Ghar Me Rehte Hain
Wo Aur Hi Tha Jo Qausain Pe Nazar Aaya
Malak To Apni Had -E- Baalo Par Me Rehte Hain.
Malaika Bhi Aqidath Se Dekhte Hain Unhein
Jo Khushnaseeb Nabi Ki Nagar Me Rehte Hain.
Rahe Wo Apnon Se Ghaafil Are Ma'azallah
Khusha Naseeb Ham Unki Nazar Me Rehte Hain.
Yaqeen Waale Kahan Se Chale Kahan Pohonche
Jo Ahle Shak Hain Agar Me Magar Me Rehte Hain.
Jo Akhtar Unke Tasawwur Me Subho Shaam Kare
Kahin Bhi Rehte Hon Taiba Nagar Me Rehte Hain.