Dil Me Hai Yaad Aapki Sarkar

Dil Me Hai Yaad Aapki Sarkar

Kalaam of Naseer Uddin Bismil Sahab

Dil Me Hai Yaad Aapki Sarkar
Aap Hain Meri Zindagi Sarkar.

Sharbate Deed Ka Mai Pyaasa Hoon
Door Kardije Tishnagi Sarkar.

Aap Jab Saamne Hon Dam Nikle
Aarzu Hai To Bas Yehi Sarkar.

Hausle Se Siwa Mila Sabko
Aapki Bhi Hai Kya Sakhi Sarkar.

Paas Kuch Bhi Nahi Hai Zaade Safar
Laaj Rakh Lijiye Meri Sarkar.

Mera Kaaba Hai Meri Jannat Hai
Deen -O- Imaan Hain Aap Hi Sarkar.

Meri Bigdi Huwi Jo Qismat Thi
Ek Ishare Me Bangayi Sarkar.

Waj'he Takhleeq Kayenaat Bhi Hain
Sayyade Kul Hain Aap Hi Sarkar.

Muddua Maine Apna Arz Kiya
Aage Jo Aapki Khushi Sarkar.

Aapse Rabt Ki Nishani Hai
Darde Dil Aankh Ki Nami Sarkar.

Saari Duniya Unhi Ki Hai Bismil
Sab Ki Karte Hain Dil Dahi Sarkar.

More from Naat -E- Shareef

More kalaam of Naseer Uddin Bismil Sahab

  • Aaj Ashk Mere Naat Sunayein To Ajab Kya
  • Aouj Paana Mere Huzoor Ka Hai
  • Aaj Sik Mitran Di Wadheriye
  • Aankhon Ka Taara Naame Muhammad
  • Aansu Meri Aankhon Me Nahi Aaye Hue Hain
  • Aap Sa Dono Jahan Me Nazar Aaya Hi Nahi