Nazar Me Dil Me Seene Me Hai
Nazar Me Dil Me Seene Me Hai
Kalaam of Hazrath Syed Iftiqaar Ali Chishti (Watan) R.a
Nazar Me Dil Me Seene Me Hai Jalwa Ghouse -E- Aazam Ka
Sarapa Hai Mera Aayina Khaana Ghouse -E- Aazam Ka.
Tamasha Deedni Hoga Adaalat Gaahe Mehshar Me
Jo Mere Haath Me Daman Rahega Ghouse -E- Aazam Ka.
Ye Wo Aayina Hai Shaane Khuda Hai Aayina Jis Me
Koi Dekhe Khudara Rooe Waala Ghouse -E- Aazam Ka.
Ayaan Hai Lahmuka Lahmi Ke Maane Shaane Aqdas Me
Sarapa Barzaqe Kubraa Hai Naqsha Ghouse -E- Aazam Ka.
Muqabil Jaise Aayina Koi Rehta Hai Soorat Me
Bandha Hai Saamna Iss Tarha Mera Ghouse E Aazam.
Padheinge Faatiha Iqlaas Se Parwaaz Par Apni
Agar Jibreel Par Ho Kashfe Rauza Ghouse -E- Aazam Ka.
Baraaye Deedni Laila Ba Baayad Deedaye Majnoon
Koi Dekhe Meri Aankhon Se Jalwa Ghouse -E- Aazam Ka.
Jahan Me Go Fareeqe Auliya Me Aap Hain Lekin
Girohe Ambiya Me Hashr Hoga Ghouse -E- Aazam Ka.
Khuda Ko Usne Dekha Aur Rasoolallah Ko Dekha
Jise Murshid Ne Dikhlaya Hai Chehra Ghouse -E- Aazam Ka.
Khiraman Hain Tasawwur Se Hareeme Qalb Me Har Dam
Hai Mera Seena -E- Be Keena Kooncha Ghouse -E- Aazam Ka.
Zahoore Ahmade Mursal Muqarrar Usne Dekha Hai
Jo Dekha Deedaye Baatin Se Chehra Ghouse -E- Aazam Ka.
Lahad Hai Marde Muk Palkein Ba Ayina Chadare Gul Hain
Watan Ka Deedaye Haq Bhi Hai Rauza Ghouse - E- Aazam Ka.
More from Manqabat -E- Bade Peer Sarkar R.A
More kalaam of Hazrath Syed Iftiqaar Ali Chishti (Watan) R.a