Nahi Koi Zamane Me Hamara Ya Rasoolallah
Nahi Koi Zamane Me Hamara Ya Rasoolallah
Nahi Koi Zamane Me Hamara Ya Rasoolallah
Tumhare Hain Tumhara Hai Sahara Ya Rasoolallah.
Hoon Sar Se Paaun Tak Dooba Hua Gham Ke Samandar Me
Nahi Aata Nazar Koi Kinara Ya Rasoolallah.
Khuda Ne Aapko Rehmath Bana Kar Farsh Par Aaqa
Gunahgaron Ki Baqshish Ko Utaara Ya Rasoolallah.
Siwaye Aapke Koi Nahi Arshi Ka Duniya Me
Mai Zarra Hoon Bana Daalo Sitaara Ya Rasoolallah.