Buland Haq Ke Alam Se Koi Parcham Ho Nahi Sakta

Buland Haq Ke Alam Se Koi Parcham Ho Nahi Sakta

Kalaam of Hazrath Hameed Uddin Sharfi Sahab (Saifi)

Buland Haq Ke Alam Se Koi Parcham Ho Nahi Sakta
Ziyada Hoga Imaan Ka Asar Kam Ho Nahi Sakta.

Mera Sar Azmate Haq -O- Sadaqat Ki Alamath Hai
Jo Hojaye So Hojaye Ye Sar Kham Ho Nahi Sakta.

Kahan Tareeqe Aalam Ne Khud Apna Jaaiza Lekar
Ghame Shabbir Se Badhkar Koi Gham Ho Nahi Sakta.

Bahattar Pyaas Ke Maare Shaheed -E- Raahe Imaan The
Ye Imaan Noor Hai Ye Noor Maddham Ho Nahi Sakta.

Shahadat Asghare Masoom Ki Hai Saneha Uzma
Laga Hai Zakhm Wo Dil Par Ke Marham Ho Nahi Sakta.

Gaye Abbas Qasim Chal Base Akbar Hue Rukhsat
Hussaini Azm Iss Aalam Me Bhi Kam Ho Nahi Sakta.

Shaheedane Wafa Ke Khoon Ki Rangat Ye Kehti Hai
Asar Saifi Sadaqat Ka Kabhi Kam Ho Nahi Sakta.

More from Manqabat -E- Hz Imame Hussain A.S

More kalaam of Hazrath Hameed Uddin Sharfi Sahab (Saifi)

  • Aag Si Dil Me Lagi Aankh Se Chalka Paani
  • Aa Ghame Shabbir Aa Seene Laga Kar Choomlun
  • Aaya Na Hoga Iss Tarah Rango Shabaab Reth Par
  • Akse Rukhe Rasool Hai Chehra Hussain Ka
  • Allah Ahle Baite Payambar Ke Saath Hai
  • Aye Khuda Naseebe Ko Aise Jagmaga Dena