Haq Ka Irfaan Jo Paaya To Ali Yaad Aaye
Haq Ka Irfaan Jo Paaya To Ali Yaad Aaye
Kalaam of Khan Quadri (Arshad Habibi)
Haq Ka Irfaan Jo Paaya To Ali Yaad Aaye
Dil Me Imaan Samaaya To Ali Yaad Aaye.
Zore Baazu -E- Ali Badro Uhad Se Pucho
Yaa To Khaibar Ki Fazaon Se Gawahi Lelo
Waqt Barbaadi Ka Aaya To Ali Yaad Aaye.
Marhab -O- Amr Ki Khambar Ki Hai Tareeq Gawaah
Soormaon Ko Bhi Angusht Badan Daan Dekha
Koi Auqaat Bhulaya To Ali Yaad Aaye.
Apne Ashaab Se Ye Saahibe Quran Ne Kaha
Saath Quran Ka Haidar Ka Hai Taa Rauze Jaza
Jab Bhi Quran Uthaaya To Ali Yaad Aaye.
Haq Ki Pehchan Ka Unwaan Ali Maula Hain
Har Musalman Ke Nigehbaan Ali Maula Hain
Sab Ko Aaqa Ne Bataya To Ali Yaad Aaye.
Jism Ke Ek Se Do Tukde Barabar Dekhe
Khoon Ki Barsaat Hui Udhte Hue Sar Dekhe
Ran Me Abbas Jab Aaya To Ali Yaad Aaye.
Teen Din Nazr Ke Rozon Ne Ajab Kaam Kiya
Saare Miskeenon Yateemon Ne Aseeron Ne Kaha
Bhook Ne Jab Bhi Sataaya To Ali Yaad Aaye.
Jiski Ghutthi Me Shuja'at Hai Wo Ghazi Hain Ali
Farziyath Baad Hai Pehle Se Namazi Hain Ali
Sar Ibadath Me Jhukaya To Ali Yaad Aaye.
Naasibiyon Ko Khawarij Ko Bohot Tadpaya
Jange Siffin Ka Har Baab Unhein Sunwaya
Haidari Naara Lagaya To Ali Yaad Aaye.
Lashkare Shaam Ki Karbal Me Kamar Tootgayi
Saare Shaitanon Ki Taqdeer Tabhi Phoot Gayi
Sote Sheron Ko Jagaya To Ali Yaad Aaye.
Kitna Ehsaan Faramosh Hai Tu Aye Mullah
Maulvi Banke Bhi Maula Ki Adawath Me Mara
Ab Nakeeron Ne Daraaya To Ali Yaad Aaye.
Haq Parasti Ki Shama Dil Me Jalaa Kar Laaya
Buth Shikan Aaya Sanam Khaanon Ne Ye Chillaya
Hind Me Khwaja Jab Aaya To Ali Yaad Aaye.
Aasra Ek Hai Arshad Ka Zamane Bhar Me
Unke Tukdon Ke Siwa Kuch Nahi Mere Ghar Me
Jab Mila Peer Ka Saaya To Ali Yaad Aaye.