Hain Mambaye Wilayath Shere Khuda Ali
Hain Mambaye Wilayath Shere Khuda Ali
Kalaam of Ameer Sabri Sahab
Hain Mambaye Wilayath Shere Khuda Ali
Waliyon Ke Auliyaon Ke Hain Peshwa Ali.
Khushbu -E- Buturaab Se Kaaba Mehek Gaya
Ghar Me Khuda Ke Jab Huwe Jalwa Numa Ali.
Kuhlil Basar Banaye Na KYun Chashme Aashiqaan
Miljaaye Aapki Jo Kahin Khaake Paa Ali.
Toofan Me Hai Ye Kashti -E-Umre Rawaan Meri
Mushkil Kushayi Kijiye Mushkil Kusha Ali.
Khaibar Shikan Bhi Hain Ali Aur Buth Shikan Bhi Hain
Talwaar Hai Khuda Ki Ye Daste Khuda Ali.
Aise The Jaan Nisaar Risalath Ma'ab Ke
Be Misl Be Misaal Hai Zaate Wafa Ali.
Aaqa Ameer Sabri Ko Har Maqaam Par
Kaafi Hai Yaad Aapki Ya Murtaza Ali.