Mujhe Aaj Karni Hai Midhath Ali Ki
Mujhe Aaj Karni Hai Midhath Ali Ki
Kalaam of Naseer Uddin Bismil Sahab
Mujhe Aaj Karni Hai Midhath Ali Ki
Jo Miljaye Mujhko Ijazath Ali Ki.
Tajalli -E- Subhan Surath Ali Ki
Hai Tasfeere Quran Seerath Ali Ki.
Tariqath Ke Dil Par Hukoomat Ali Ki
Shariyath Ke Rukh Par Hai Rangath Ali Ki.
Jo Mushkil Me Tum Ya Ali Kehke Dekho
Nazar Aayegi Kaisi Nusrath Ali Ki.
Wohi Baab Hain Shehre Ilme Nabi Ka
Samajhlo Isi Se Fazilath Ali Ki.
Hain Hijrath Ki Shab Bistare Mustafa Par
Hai Kis Shaan Ki Ye Niyabath Ali Ki.
Nigaahe Risalath Unhi Par Jama Hain
Hai Khaibar Ke Dar Ko Zarurath Ali Ki.
Hamein Panjatan Ki Ziyarath Bhi Hogi
Jo Hojaye Qismat Se Rooyath Ali Ki.
Ye Dar Hai Sakhi Ka Bohot Kuch Milega
Bohot Lutf Karna Hai Aadat Ali Ki.
Na Hi Fikre Duniya Na Hi Khaufe Mehshar
Agar Hai Ye Nisbath Salamath Ali Ki.
Nawaza Mujhe Apna Bismil Banake
Karam Hai Ali Ka Inayath Ali Ki.