Chalo Dayaare Nabi Ki Janib
Chalo Dayaare Nabi Ki Janib
Kalaam of Khalid Mehmood Khalid Sahab
Chalo Dayaare Nabi Ki Janib
Durood Lab Par Saja Saja Kar
Baharein Looteinge Ham Karam Ki
Dilon Ko Daman Bana Bana Kar.
Na Unke Jaisa Saqi Hai Koi
Na Unke Jaisa Ghani Hai Koi
Wo Benawaon Ko Har Jagah Se
Nawaazte Hain Bula Bula Kar.
Jo Shahkaar Unki Yaad Ke Hain
Amanatan Ishq Ne Diye Hain
Charaghe Manzil Baneinge Ek Din
Rakho Wo Aansu Bacha Bacha Kar.
Hamari Saari Zarurath Par
Kafalaton Ki Nazar Hai Unki
Wo Jholiyan Bharrahe Hai Sabki
Karam Ke Moti Luta Luta Kar.
Wo Raahein Ab Tak Saji Huwi Hain
Dilon Ka Kaaba Bani Huwi Hain
Jahan Jahan Se Huzoor Guzre
Hain Naqsh Apna Jama Jama Kar.
Kabhi Jo Mere Ghareeb Khaane
Ki Aap Aakar Jagayein Qismat
Mai Khair Maqdam Ke Geet Gaaunga
Apni Palkein Bicha Bicha Kar.
Tumhari Nisbath Ke Mai Tasadduq
Asaase Azmath Hai Ye Ta'alluq
Ke Ambiya Surkhuru Huwe Hain
Sare Ita'ath Jhuka Jhuka Kar.
Hai Unko Ummat Se Pyaar Kitna
Karam Hai Rehmath Shi'aar Kitna
Hamare Jurmon Ko Dho Rahe Hain
Huzoor Aansu Baha Baha Kar.
Mai Aisa Aasi Hoon Jiski Jholi
Me Koi Husne Amal Nahi Hai
Magar Wo Ehsan Karrahe Hain
Khatayein Meri Chupa Chupa Kar.
Yehi Asaas -E- Amal Hai Meri
Isi Se Bigdi Bani Hai Meri
Samet'ta Hoon Karam Khuda Ka
Nabi Ki Naatein Suna Suna Kar.
Wo Aayina Hai Rukhe Muhammad
Ke Jiska Jauhar Jamaale Rab Se
Mai Dekh Leta Hoom Saare Jalwe
Tasawwur Unka Jama Jama Kar.
Kabhi To Barsega Abre Rehmath
Kabhi Ro Jaagegi Meri Qismat
Kuch Ashk Taiyyar Karraha Hoon
Mai Soze Ulfath Badha Badha Kar.
Mai Tere Qurban Mere Saaqi
Rahe Na Armaan Koi Baaqi
Mujhe Muhabbath Ka Hausla De
Nazar Se Apni Pila Pila Kar.
Mitaane Waale Hi Mitgaye Hain
Ke Tere Saaye Me Palrahe Hain
Ye Tajruba Karchuki Hai Duniya
Hamein Abhi Tak Mita Mita Kar.
Agar Muqaddar Ne Yaawari Ki
Agar Madine Gaya Mai Khalid
Qadam Qadam Khaak Uss Gali Ki
Mai Choomlunga Utha Utha Kar.