Maut Aur Zeest Ke Maabain Khade Rehte Hain
Maut Aur Zeest Ke Maabain Khade Rehte Hain
Maut Aur Zeest Ke Maabain Khade Rehte Hain
Ishq Waale Yoon Hi Bechain Khade Rehte Hain.
Aapke Paaun Ki Thokar Ho To Chal Padte Hain
Ya Nabi Warna Ye Kaunain Khade Rehte Hain.
Baab -E- Zahra Pe Khade Rehte Hain Aakar Mursal
Sirf Mursal Nahi Saqlain Khade Rehte Hain.
Phir Theher Jaate Hain Khutbe Bhi Nabi Akram Ke
Jis Ghadi Saamne Hasnain Khade Rehte Hain.
Baith Jaate Hain Jo Sastaane Kahin Mere Huzoor
Qudsi Pakde Hue Nalain Khade Rehte Hain.
Khushbuein Aapki Aamad Ki Jo Dein Khushkhabri
Dar Ko Thaame Hue Do Nain Khade Rehte Hain.
Jaane Kis Samt Se Sarkar Ubharein Suraj
Muntazir Aapke Tarfain Khade Rehte Hain.