Mujhko Shadeed Ishq Hai Naame Nabi Ke Saath

Mujhko Shadeed Ishq Hai Naame Nabi Ke Saath

Mujhko Shadeed Ishq Hai Naame Nabi Ke Saath
Har Shai Bachayi Jayegi Ek Din Isi Ke Saath.

Poore Jahan Me Kaisa Ujaala Ye Kardiya
Ghaare Hira Se Laayi Hui Raushni Ke Saath.

Baaqi Nahi Pata Wo Hai Muflis Ke Badshah
Jo Bhi Nabi Ke Saath Hai Mai Hoon Usi Ke Saath.

Dono Jahan Ki Hai Mili Saltanat Unhein
Aur Zindagi Guzaari Hai Kis Saadgi Ke Saath.

Jaate Hain Shehre Ilm Me Bas Baabe Ilm Se
Rakhna Hai Raabta Hamein Maula Ali Ke Saath.

Aatif Bulayein Mujhko Madine Me Wo Kabhi
Haazir Hoon Unke Dar Pe Mai Is Shayari Ke Saath.

More from Naat -E- Shareef

  • Aaj Ashk Mere Naat Sunayein To Ajab Kya
  • Aouj Paana Mere Huzoor Ka Hai
  • Aaj Sik Mitran Di Wadheriye
  • Aankhon Ka Taara Naame Muhammad
  • Aansu Meri Aankhon Me Nahi Aaye Hue Hain
  • Aap Sa Dono Jahan Me Nazar Aaya Hi Nahi