Marhaba Sarware Kaunain Madine Waale
Marhaba Sarware Kaunain Madine Waale
Kalaam of Muhammad Ali Zahoori Sahab
Marhaba Sarware Kaunain Madine Waale
Ham Gunahgaaron Ke Sukh Chain Madine Waale.
Naam Honton Pe Tera Aaya To Mehsoos Hua
Milgayi Daulate Daarain Madine Waale.
Yaad Karke Tere Darbar Ke Nazzaron Ko
Khoob Rote Hain Mere Nain Madine Waale.
Dekh Leta Hoon Madine Ka Musafir Jo Kahin
Dil Mera Hota Hai Bechain Madine Waale.
Ek Muddath Se Hoon Betaab -E- Ziyarath Aaqa
Ho Karam Sadqaye Hasnain Madine Waale.
Mai Kahan Meri Haqiqath Hi Zahoori Kya Hai
Taaje Shaahaan Teri Nalain Madine Waale.